7 May 2025 ko India ne aik military operation ka aghaz kiya jisko “Operation Sindoor” ka naam diya gaya. Ye operation unke kehne ke mutabiq Pahalgam attack ka jawab tha jo 22 April ko waqeh hua tha, jahan aik passenger bus par bomb blast mein 26 afraad halaak hue.
India ne is hamlay ka zimma Pakistan mein mojood kuch jihadi tanzeemon, khaaskar Lashkar-e-Taiba aur Jaish-e-Mohammed par dala. In tanzeemon ko mubina tur par cross-border terrorism ka zimmedar mokharaar kiya gaya hai.
Operation Sindoor ky Hamlay Ki Tafseelat
Indian Army ke mutabiq missile strikes ke zariye Pakistan ke andar aur Azad Jammu & Kashmir ke kuch ilaqon mein mukhtalif training camps ko nishana banaya gaya. Report ke mutabiq Bahawalpur, Muridke, aur Sialkot ke qareebi ilaqay target banaye gaye.
India ne claim kiya ke ye training centers un elements ke base thay jo Pahalgam attack mein mulawis thay. Missile strikes ke baad India ne operation ko mukammal kamiyabi qarar diya.
Pakistan Ka Radd-e-Amal
Pakistan ne in strikes ko “Ghair zimmedari aur khuli jarrhiyat” qarar diya. ISPR ka kehna tha ke Indian missile strikes ka jawab diya gaya hai aur Line of Control ke qareeb kuch Indian drone aur ground targets ko nishana banaya gaya.
Rawalakot, Lahore, aur Sialkot ke kuch ilaqon mein panic ki situation paida hui, jahan schools temporarily band kar diye gaye aur law enforcement agencies ko alert kar diya gaya.
India ky Missile Attack par Bain Alaqwami Radd-e-Amal
China ne dono tarafon ko tahammul baratne aur maslay ko mukalma ke zariye hal karne ki appeal ki. United States ne direct diplomatic efforts ka mashwara diya, jabke Russia aur Turkey ne bhi concern ka izhar kiya. OIC ne Pakistan ke khilaf jarrhiyat ki mazammat ki aur support ka izhar kiya.
Strategic aur Political Fallout
Operation Sindoor ke turant baad dono mumalik ke darmiyan diplomatic tensions barh gayi hain. Trade aur tourism par pabandi laga di gayi hai. Indus Waters Treaty jaise ahem moahiday (agreement) moattal kar diye gaye hain, jo ke ilaqai bechaini mein izafay ka bayis ban sakte hain.
Mazid ye ky, analysts ka kehna hai ke India ke is military action ka aik maqsad 2025 ke elections mein BJP ka political faida hasil karna bhi ho sakta hai. Nationalist sentiments ko barhawa dena ruling party ke liye ek purani strategy rahi hai.
Humara Tajziya
Operation Sindoor sirf aik military operation nahi balkay aik political aur psychological signal bhi hai. South Asia jese ghair mastahkam alaqah mein, aise actions na sirf alaqayee aman ke liye khatra hain balkay nuclear hamly ka sabab bhi ban saktay hain.
Pakistan ko chahiye ke woh diplomatic platforms par apna case mazboot tareeqe se uthaye, international community ko ground realities se agah kare, aur domestic level par awam ko misinformation aur panic se door rakhe.