Tareekh: 11 May 2025
Jaga: Islamabad
Pakistan ne Bharat ke Operation Sindoor ka jawab dene ke liye aik naya military operation launch kiya hai jiska naam hai Operation Bunyan-un-Marsoos. Yeh operation Pakistan ke Armed Forces ne Defence Ministry ke mutabiq officially shuru kiya, jiska maqsad mulki hifazat wo khudmoqtari (خودمختاری) ka tahaffuz aur Bharat ki khuli jarrhiyat ka jawab dena tha.
Bharat ke Hamlay aur Uska Background
Pichlay kuch hafton se Bharat ne Pakistan ke airbases aur civil ilaqon par missile strikes kiye. In attacks mein kai afraad zakhmi hue aur infrastructure ko bhi nuksan pohancha. Bharat ka dawa hai ke yeh strikes un ke mubyina security khatraat (مبینہ سیکورٹی خطرات) ke khilaf thein, lekin Pakistan ne isey khuli jarrhiyat aur ghair zimmedarana qadam qarar diya.
Pakistan ka Military Jawab
Operation Bunyan-un-Marsoos ke zariye Pakistan ne Bharat ke andar kai important military targets ko nishana banaya. In mein shamil hain:
- India ka BrahMos missile storage
- Udhampur aur Pathankot ke airbases
- Uri ka supply depot
- Adampur ka S-400 air defense system
- Sirsa, Bathinda, aur Halwara ke airfields
- Rajouri mein Military Intelligence Training Center
Iske ilawa, Pakistan ne aik cyber operation bhi launch kiya, jis ke zariye Bharat ka electricity grid system 70% tak affect hua. Yeh aik clear message tha ke Pakistan sirf traditional warfare nahi, modern warfare mein bhi tayyar hai.
Duniya ka Radd-e-Amal
Operation ke baad duniya bhar se milay-julay reactions samne aaye. China, Saudi Arabia, Turkey, aur Iran ne Pakistan ke jawab ko justified qarar diya, jabke US, UK, aur UN ne dono mumalik se tahammul aur aman ki appeal ki.
OIC (Organization of Islamic Cooperation) ne bhi Bharat ke mubyina radd-e-amal ki sakht mazammat ki aur Pakistan ke haqq mein apni hamesha ki himayat ka izhar kiya.
Aman ka Rasta?
Is military hamalyee ke baad South Asia mein tensions barh chuki hain. Dono nuclear powers ke darmiyan aise operations se alaqai istehkam (علاقائی استحکام) aur aam awam ka aman daao par lagta hai. Har taraf se demands barh rahi hain ke yeh tanaza safarti mez par hal kiya jaye.
Natija
Operation Bunyan-un-Marsoos ne sabit kar diya ke Pakistan kisi bhi jarrhiyat ka munh tor jawab dena jaanta hai. Yeh operation sirf aik military response nahi, balkay aik strategic message bhi tha ke mulk ki khudmoqtari (خودمختاری) aur awam ki hifazat ke liye Pakistan har level par tayyar hai.