Karachi – State Bank of Pakistan (SBP) ne confirm kiya hai ke Pakistan ko International Monetary Fund (IMF) ke Extended Fund Facility (EFF) program ke tahat doosri qist SDR 760 million (taqreeban $1.023 billion) 13 May 2025 ko receive hui hai. Ye inflow IMF Executive Board ke taraf se 9 May ko pehle review ki manzoori ke baad hui hai.
SBP ne kaha hai ke ye amount Pakistan ke foreign exchange reserves mein 16 May 2025 tak ke data mein shamil ho gi, jiska asar rupee ki stability aur default risk mein kami ki surat mein samne aayega.
IMF ka ye support package Pakistan ki economy ko stabilize karne, balance of payments ko improve karne aur global investors ka trust hasil karne ke liye design kiya gaya hai. IMF ne Pakistan ke liye ek naya Resilience and Sustainability Facility (RSF) bhi approve kiya hai jo $1.4 billion ke barabar hai, jiska pehla disbursement baad mein expected hai.
Topline Securities ke Director Research, Shankar Talreja ne kaha ke IMF approval se EFF facility ke under total inflows ab $2.1 billion tak pohanch gaye hain. RSF ke funds September 2025 mein pehle review ke baad milne ki umeed hai.
Financial experts ka kehna hai ke IMF ki qist foreign reserves ko boost karne ke sath sath Pakistan Stock Exchange (PSX) ko bhi support karegi. PSX ne pehle India-Pakistan tensions ki wajah se losses dekhe lekin IMF approval ke baad 3.5% ka recovery bhi record hui.
IMF projections ke mutabiq FY25 mein Pakistan ki GDP growth 2.6%, inflation 5.1%, aur current account deficit sirf 0.1% rehne ka imkaan hai. Foreign exchange reserves bhi June 2025 tak $13.9 billion tak barhne ki umeed hai.
Analysts ka kehna hai ke agar IMF reviews successfully complete hue aur siyasi aur geo-political stability barqarar rahi to PSX December 2025 tak 150,000 points ka level bhi cross kar sakta hai.