Ramadan 2025 Pakistan – Pehla Roza Kab Hoga?
Ramadan Mubarak! Yeh maheena har musalman ke liye bht khas hota hai kyunki is mein rehmat, maghfirat aur barkat hoti hai. Har saal log is maheene ka intezar karte hain aur poochte hain ke 1st Ramadan 2025 in Pakistan kab hoga, chand nazar aane ki umeed kab hai, aur sehri aur iftar ke auqat kya honge? Yeh blog aapko Ramadan 2025 ka mukammal calendar aur sehri aur iftar ke timings ke mutabiq tafseelat dega.
1st Ramadan 2025 in Pakistan Kab Hoga?
Islamic calendar ke mutabiq, expected Ramadan 2025 in Pakistan ka aghaz Sunday, 2 March 2025 ko hone ka imkaan hai. Ruet-e-Hilal Committee Pakistan chand dekhne ka official elan karegi. 1 March 2025 ki raat chand nazar aane ka imkaan hai, aur agar chand nazar aa gaya toh pehla roza 2 March 2025 ko hoga.
Ramadan ek roohani safar hai jo sirf roza rakhne tak mehdood nahi, balki apni zindagi ko behtar banane ka aik moka hai. Yeh waqt hai jab log ibadat mein ziada waqt guzarte hain, Quran ki tilawat karte hain, aur Allah se duaen maangte hain.
Ramadan 2025 Timetable – Sehri Aur Iftar Ke Auqat
Neeche Ramadan 2025 ka mukammal calendar diya gaya hai jo sehri aur iftar ke timings batata hai. Yeh auqat Pakistan ke mutabiq hain, magar mukhtalif shehron mein thora farq ho sakta hai, is liye apni local masjid ya Islamic authority se confirm karna behtar hoga.
RAMADAN | SEHRI | IFTAR | DATE |
---|---|---|---|
1 | 05:01 AM | 06:16 PM | 02 March 2025 |
2 | 05:00 AM | 06:17 PM | 03 March 2025 |
3 | 04:59 AM | 06:18 PM | 04 March 2025 |
4 | 04:58 AM | 06:19 PM | 05 March 2025 |
5 | 04:57 AM | 06:19 PM | 06 March 2025 |
6 | 04:55 AM | 06:20 PM | 07 March 2025 |
7 | 04:54 AM | 06:21 PM | 08 March 2025 |
8 | 04:53 AM | 06:22 PM | 09 March 2025 |
9 | 04:51 AM | 06:23 PM | 10 March 2025 |
10 | 04:50 AM | 06:23 PM | 11 March 2025 |
11 | 04:49 AM | 06:24 PM | 12 March 2025 |
12 | 04:47 AM | 06:25 PM | 13 March 2025 |
13 | 04:46 AM | 06:26 PM | 14 March 2025 |
14 | 04:45 AM | 06:27 PM | 15 March 2025 |
15 | 04:43 AM | 06:27 PM | 16 March 2025 |
16 | 04:42 AM | 06:28 PM | 17 March 2025 |
17 | 04:40 AM | 06:29 PM | 18 March 2025 |
18 | 04:39 AM | 06:30 PM | 19 March 2025 |
19 | 04:38 AM | 06:30 PM | 20 March 2025 |
20 | 04:36 AM | 06:31 PM | 21 March 2025 |
21 | 04:35 AM | 06:32 PM | 22 March 2025 |
22 | 04:33 AM | 06:33 PM | 23 March 2025 |
23 | 04:32 AM | 06:33 PM | 24 March 2025 |
24 | 04:30 AM | 06:34 PM | 25 March 2025 |
25 | 04:29 AM | 06:35 PM | 26 March 2025 |
26 | 04:27 AM | 06:36 PM | 27 March 2025 |
27 | 04:26 AM | 06:36 PM | 28 March 2025 |
28 | 04:24 AM | 06:37 PM | 29 March 2025 |
29 | 04:23 AM | 06:38 PM | 30 March 2025 |
30 | 04:21 AM | 06:39 PM | 31 March 2025 |
Ramadan Ki Roohani Ahmiyat
Ramadan sirf roza rakhne ka maheena nahi balki ek roohani tajurba hai jo humein Allah ki qurbat ka ehsaas dilata hai. Is maheene mein log sirf apne liye nahi, balki dosray logon ki madad karne ki bhi koshish karte hain. Sadaqaat aur zakat dena, gareebon aur zarooratmandon ki madad karna, aur Quran ki tilawat karna is maheene ka ek ahem hissa hai.
Ramadan Aur Ijtimaiyat
Is maheene mein sirf ibadat hi nahi hoti, balki ghar walon aur doston ke saath waqt guzarne ka bhi aik acha moka hota hai. Iftar parties, masjid mein jama’at ke sath namaz parhna, aur gareebon ki madad karna yeh sab Ramadan ki khoobsurti ka hissa hai. Yeh aik aisa waqt hota hai jab insaan sirf apni duniya par nahi, balki akhirat ke safar par bhi ghauro fikr karta hai.
Authority Reference
Yeh tareekhein aur sehri/iftar ke auqat Ruet-e-Hilal Committee Pakistan, Islamic Finder, aur local masajid ke schedule ke mutabiq hain. Wazahat aur updates ke liye aap Ruet-e-Hilal Committee ki official website check kar sakte hain.
Ramadan ek bohot azeem maheena hai jo har musalman ke dil ke qareeb hota hai. Is blog ko share karein taake ziada se ziada log is se faida utha sakein. Ramadan Mubarak! 😊